Corruption

2011
Aaj humare desh mein corruption mitane ke liye aandolan chal raha hai, jisme kuch badi taktain aam logo ka sath dekar corruption mitane ki baat kar rahi hain, jisme huzaron ki sankhya main log jut rahein hein aur yeh apeel kar rahein hain ki sarkar aisa kanoon banaye ki jisse corruption zald hi khatm ho jaye par shayad weh ye bhul rahein hain ki corruption kanoon banane se nahi balki apni niyat ko manane se khatm hoga aaj mai aur aap kahte hain ki hum corruption se parshan hain wo isliye kyoki humein parshania hi pasand hain koi akela inshan corruption nahi kar sakta ye sirf bade log kartein ho aisa bhi nahi hai balki ye to humare tumare lebel se shuru hota hai aur dur tak jata hai bhale hi chote toar par hi ho par corruption to hum bhi karte hein huzaron logo ki bhid jo corruption ke khilaf ek sath juti hei wo bhi currupt hai agar hum dusre logo se corrupt na hone ki apeel kar rahein to kya humne apne lalch ko tyag diya agar nahi to humein satyagrah ka naam apki sakshiyat ke sath nahi jodna chahiye.

Comments